Pakistan ko dost mumalik se 12 billion dollar ki rollover ki yaqeen dahaniyan milien
Pakistan ko dost mumalik se 12 billion dollar ki rollover ki yaqeen dahaniyan milien
Islamabad main dost mumalik ki janib se qarz ki muddat mein tosee milnay ke baad, Wazir-e-Khazana Muhammad Aurangzeb ne kaha hai ke International Monetary Fund (IMF) Pakistan ke liye 7 billion dollar ke qarz ke program ko hatmi manzoori dega.
Is silsilay mein, Pakistan ne apne teen sab se baray do tarafah sharik Saudi Arabia, China aur United Arab Emirates se darkhwast ki ke wo teen se paanch saal ke liye 12 billion dollar ke deposits mein rollover dein.
Isliye teeno mumalik ne teen saal ke liye rollover ki tasdeeq ki hai, jise har saal tajdeed kiya jayega – Washington mein waqia qarz dene wale se manzoori hasil karne mein Islamabad ki himayat karne ki koshish mein. Aur IMF ko bhi is aham taraqqi se agah kar diya gaya hai.
Wazir ne kaha ke international qarz dene wale idaray ka qarz program Tawsiati Fund Sahulat (EFF) ke tehat 37 mah ki muddat par moheet hoga, unho ne mazeed kaha ke iske Executive Board ka ijlaas August ke akhir ya September ke shuru mein mutawaqqe hai.
Senate ki Qaimi Committee baraye Khazana ke ijlaas ke baad sahafioun se guftagu karte hue Aurangzeb ne kaha, “Is baat ki yaqeen dahaniyan hain ke IMF ka Executive Board August 2024 ke akhir tak ya zyada se zyada chand dinon baad September ke shuru mein 7 billion dollar ke EFF package ki manzoori par ghour kar sakta hai.”
Pichlay mah, Pakistan aur IMF ke darmiyan 7 billion dollar, 37 mah ke qarz ka muahida hua jisme farm ki aamdani par tax barhane jese sakht iqdamat shamil thay.
Amle ki satah ke muahiday ne Islamabad ki janib se qaleel muddat, 3 billion dollar ka program mukammal karne ke baad May mein shuru hone walay muzakraat ko mahdood kar diya jisne maeeshat ko mustahkam karne, qarzon ke khudmukhtar default ko rokne aur IMF ki manzoori hasil karne ke liye apne budget mein aamdani ke challenging hadaf muqarrar karne mein madad ki.
Taham Wazir-e-Khazana ke mutabiq IMF Board ki manzoori dost mumalik ke 12 billion dollar ke qarz ki profiling se mansoob thi jisme Saudi Arabia se 5 billion dollar, China se 4 billion dollar aur Muttahida Arab Emirates se 3 billion dollar teen se paanch saal ki muddat ke liye shamil thay.
Aurangzeb ne kaha, “Pakistan ne China se power plants ke liye qarz mein relief ki bhi darkhwast ki hai.”
Is peshraft ke baray mein The News se baat karte hue, Wazir ne kaha ke IMF ne 3 billion dollar se 5 billion dollar ke external financing gap ka bhi andaza lagaya hai.
Doosri taraf, Senate ke panel ke ijlas ke douran, Wazir ne kaha ke hukumat ne Panda Bond shuru karne ke liye aik consultant muqarrar kiya hai, aur yeh lena dena rawan saal ke andar mukammal ho jayega.
Unho ne kaha ke hukumat IPPs ke Chinese companies aur banks ke wajib ul ada qarzon ko mehfooz karne ke liye Chinese consultant ki taqree par ghour kar rahi hai. Wo aglay chand dino mein mushtarka working group ke qiyam ke hawalay se positive peshraft ki tawaqo kar rahay thay.
Wazir ne kaha, “Pakistan Chinese IPPs ki wapsi ki muddat mein 3 se 5 saal tak toseey chahta hai.”
Aurangzeb ne mazeed kaha ke international commercial banks Pakistan mein dilchaspi rakhte hain lekin mo’atabar qeemat ka taayun karna chahte hain. Unho ne kaha ke wo bailout package par IMF se manzoori aur credit rating agencies se behtari ke muntazir hain.